jo duhai de raha hai koi saudai na ho
apne hi ghar mein kisi ne aag dahkai na ho
raste mein is se pahle kab tha itna azhdaham
jo tamasha ban raha hai wo tamashai na ho
jo mila nazren chura kar chal diya ab kya kahen
shahr mein rah kar kabhi itni shanasai na ho
apni hi aawaz par chaunke hain hum to bar bar
ai rafiqo bazm mein itni bhi tanhai na ho
main shua-e-mahr ka mara sahi lekin yahan
kaun hai yaro jo is suraj ka shaidai na ho
gung bhi hain dekh kar badle hue manzar yahan
aur aisa bhi nahin hum mein ki goyai na ho
main to apni zat ka ek reza-e-gum-gashta hun
wo mujhe DhunDega kya jo mera shaidai na ho
Ghazal
Jo duhai de raha hai koi saudai na ho
Ameen Rahat Chugtai