jo dost tha wahi dushman hai kya kiya jae
ajab KHalish ajab uljhan hai kya kiya jae
basa hua hai jo KHushbu ki tarah sanson mein
usi se ab meri an-ban hai kya kiya jae
yagangat ka wo jazba idhar raha na udhar
dua-salam bhi rasman hai kya kiya jae
bahaar mein bhi mayassar gul-e-murad nahin
ye na-muradi-e-daman hai kya kiya jae
faza-e-sahn-e-chaman shoala-bar hai lekin
yahin hamara nasheman hai kya kiya jae
mujhe miTa ke rahegi ye raat hijr ki raat
azal se ye meri dushman hai kya kiya jae
chhupaun kaise 'waqar' apne dil ke daghon ko
jo dagh hai wahi raushan hai kya kiya jae
Ghazal
Jo dost tha wahi dushman hai kya kiya jae
Waqar Manvi