jo din tha ek musibat to raat bhaari thi
guzarni thi magar zindagi, guzari thi
sawad-e-shauq mein aise bhi kuchh maqam aae
na mujh ko apni KHabar thi na kuchh tumhaari thi
larazte hathon se diwar lipTi jati thi
na puchh kis tarah taswir wo utari thi
jo pyar hum ne kiya tha wo karobar na tha
na tum ne jiti ye bazi na main ne haari thi
tawaf karte the us ka bahaar ke manzar
jo dil ki sej pe utri ajab sawari thi
tumhaara aana bhi achchha nahin laga mujh ko
fasurdagi si ajab aaj dil pe tari thi
kisi bhi zulm pe koi bhi kuchh na kahta tha
na jaane kaun si jaan thi jo itni pyari thi
hujum baDhta chala jata tha sar-e-mahfil
baDe rasan se qatil ki mashq jari thi
tamasha dekhne walon ko kaun batlata
ki is ke baad inhi mein kisi ki bari thi
wo is tarah tha mere bazuon ke halqe mein
na dil ko chain tha 'amjad' na be-qarari thi
Ghazal
Jo din tha ek musibat to raat bhaari thi
Amjad Islam Amjad