jo dilbar ki mohabbat dil se badle
to lun ummid-e-la-hasil se badle
muhaal-e-aql koi shai nahin hai
jo aasani meri mushkil se badle
jahan hai kor aur KHurshid mahjub
kahan tak shama har mahfil se badle
tahi-dast-e-mohabbat to bhi samjho
jo jam-saghar ko jam-e-gil se badle
har ek ko jaan dene ki KHushi ho
ajal gar nawak-e-qatil se badle
agar ho chin-jabin qatil dam-e-qatl
qayamat qamat-e-qatil se badle
abhi hum to adu se bhi badal len
jo gham ko gham se dil ko dil se badle
khule ahwal-e-dil jab nasehon par
tah-e-dariya agar sahil se badle
shabistan chhoD kar laila ho majnun
meri aaghosh gar mahmil se badle
na jumbish ek qadam ho aasman se
meri manzil agar manzil se badle
buton ka jalwa kabe mein dikha den
zara taqwa dil-e-mail se badle
'qalaq' us zulm ka phir kya Thikana
agar maqtul le qatil se badle
Ghazal
Jo dilbar ki mohabbat dil se badle
Ghulam Maula Qalaq