jo dil pe guzarti hai wo samjha nahin sakte
hum dekhne walon ko nazar aa nahin sakte
be-qaid-o-rusum aai hain gulshan mein bahaaren
ab hath gareban ki taraf ja nahin sakte
rangini-e-mustaqbil-e-raushan hai nazar mein
hum talKHi-e-mahaul se ghabra nahin sakte
maghrur na ho fazl-e-KHizan aa ke chaman mein
aise bhi hain kuchh phul jo murjha nahin sakte
mana wo mujhe apni nigahon se gira den
lekin mere ehsas ko Thukra nahin sakte
arbab-e-KHirad lakh subuk-gam hon lekin
be-faiz-e-junun rah-e-talab pa nahin sakte
mana ki tere lutf-o-karam KHwab hain lekin
har shaKHs ko ye KHwab nazar aa nahin sakte
tafsir-e-do-alam hai 'shakil' apna taghazzul
maidan-e-ghazal chhoD ke hum ja nahin sakte
Ghazal
Jo dil pe guzarti hai wo samjha nahin sakte
Shakeel Badayuni