اردو हिंदी
Jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota | Shaahi Shayari
jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota

Ghazal

Jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota

Chaman Bhatnagar

;

jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota
zamana gham to deta hai sharik-e-gham nahin hota

KHazana ilm ka hai la-zawal aisa zamane mein
jise banTo to baDhta hai pa hargiz kam nahin hota

hamara sar bana hai dosto ek KHas miTTi se
kisi zalim ki chaukhaT par kabhi ye KHam nahin hota

zahe-qismat KHuda ne zabt ki taqat mujhe di hai
haqiqat mein mera ashkon se daman nam nahin hota

hazaron aafaten hum ne sahin mahbub ki KHatir
magar isar ka jazba zara bhi kam nahin hota

pahunch sakta nahin wo apni manzil pe kisi surat
wo bad-qismat musafir jis mein kuchh dam-KHam nahin hota

zara si baat par aamada ho jae jo laDne par
pujari wo ahinsa ka chaman gautam nahin hota