jo dil mera nahin mujhe us dil se kya gharaz
chalni na ho jo rah to manzil se kya gharaz
Dubunga gar hai mere muqaddar mein Dubna
ghawwas-e-bahr-e-ishq ko sahil se kya gharaz
wo dil ko dekhta hai na aamal-e-zahiri
laila ke KHwast-gar ko mahmil se kya gharaz
sunta hai kaun aashiqon ki aah-o-zariyan
gosh-e-chaman ko shor-e-anadil se kya gharaz
hum us ke shefta hain raqibon se wasta
gul se gharaz hai fauj-e-anadil se kya gharaz
marta hun aur ja nahin sakta su-e-adam
mujh na-tawan ko tauq-o-salasil se kya gharaz
kyun dar-pai-e-talash hain ahbab-o-aqraba
'parwin' shahid-e-naz ko qatil se kya gharaz
Ghazal
Jo dil mera nahin mujhe us dil se kya gharaz
Parveen Umm-e-Mushtaq