jo dil mein us ko basae wo aur kuchh na kare
wo rup hai ki use dekhiye to ji na kare
jo dard dil mein uThe aah khinchne se Dare
wo aaina hai ki mauj-e-hawa shikast kare
khilengi rah mein is raat barf ki kaliyan
gharon mein ghumte phirte hain baadalon ke pare
hawa udhar ki chali bhi to dard mar na gaya
yahi hua hai ki kuchh zaKHm ho chale hain mere
ye jangali ye kaTili ye bawari aanhken
ki jin se aankh milate hue hiran bhi Dare
KHamosh ho bhi to kaise wo bolta hua jism
jo honT honT se chupke to aankh baat kare
wafa bane na agar 'ashk' rah ka patthar
hazar jism bhare shahr mein bane sanwre
Ghazal
Jo dil mein usko basae wo aur kuchh na kare
Bimal Krishn Ashk