اردو हिंदी
Jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge | Shaahi Shayari
jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge

Ghazal

Jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge

Shahzad Ahmad

;

jo dil mein khaTakti hai kabhi kah bhi sakoge
ya umr bhar aise hi pareshan phiroge

patthar ki hai diwar to sar phoDna sikho
ye haal rahega to jiyoge na maroge

tufan uThaoge kabhi apne jahan mein
ya aankh ke pani hi ko sailab kahoge

soe ho andhere mein charaghon ko bujha kar
aaega nazar KHak agar jag uThoge

apni hi haqiqat ko na pahchanne walo
tum parda-e-aflak ko kya chaak karoge

ai barq ki manind guzarte hue lamho
kya aankh jhapakne ki bhi mohlat nahin doge

raushan bhi karoge kabhi tariki-e-shab ko
ya shama ki manind pighalte hi rahoge

arzan hai bahut KHun farozan hai bahut sham
kya apni hi mahfil mein charaghan na karoge

mana ki kaThin rah hai dushwar safar hai
kya ek qadam bhi na mere sath chaloge

guzre hue lamhe ki wo be-nam kasak hun
tum jis ki tamanna mein pareshan phiroge

chahoge nishan bhi na rahe mera jahan mein
gar zikr karoge to mera nam na loge

ye gard-e-safar haal wo kar degi ki 'shahzad'
tum apni bhi surat ko na pahchan sakoge