jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka
jo is sukun se behtar tha kya hua us ka
kahan liye chali jati hai mujh ko virani
yahin kahin pe mera ghar tha kya hua us ka
kuchh aise ashk piye hain ki ab KHabar hi nahin
is aankh mein jo samundar tha kya hua us ka
nazar gai so gai par koi batae mujhe
baDe kamal ka manzar tha kya hua us ka
ye sochne nahin deta sitamgaron ka hujum
ki wo jo pahla sitam-gar tha kya hua us ka
main subh KHwab se jaga to ye KHayal aaya
jo raat mere barabar tha kya hua us ka
main jis ke hath laga hun use mubarak ho
magar jo mera muqaddar tha kya hua us ka
Ghazal
Jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka
Faizi