jo dil ko mohabbat ke maze aae hue hain
wo apni tabiat pe abhi chhae hue hain
har baat pe izhaar-e-nazakat hai haya se
sabit hai ki taklif bhi kuchh pae hue hain
kuchh tum ne hamein dil mein samajh rakkha hai samjho
kuchh hum bhi tumhein zehan mein Thahrae hue hain
phir milne ko ji chahta hai yar ka hum se
na-chaar hain ghusse mein qasam khae hue hain
allah ri zid koThe ke chaDhne ko kiya tark
jis rose se hum yar ke ham-sae hue hain
ab dil ko lagate hain zara soch samajh kar
do-chaar jagah pahle jo zak pae hue hain
kuchh dar pe jhukae hue sar baiThe hain 'sabir'
us bazm se shayad ki nikalwae hue hain

Ghazal
Jo dil ko mohabbat ke maze aae hue hain
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi