jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal
agar na dije to wo hain kya kya jatawe KHafagi itab akaD bal
agar ye kahiye ki hum hain bekal zara gale mil to hans ke zalim
dikhawe haikal uTha ke yani bala se meri mujhe to hai kal
jo is bahane se hath pakDen ki dekh dil ki dhaDak hamare
to hath chhap se chhuDa le kah kar mujhe nahin hai kuchh is ki aTkal
jo chhup ke dekhen to taD jawe wagar sarihan to dekho phirti
ki aate aate nigah ruKH tak chhupa le munh ko ulaT ke aanchal
kare jo wada to is tarah ka ki dil ko sunte hi ho tasalli
jo sochiye phir to kaisa wada faqat bahana fareb aur chhal
jo dil ko bose ke badle dije to hans ke laila bahut KHushi se
jo bosa mango to phir ye naqsha kabhi to aaj aur kabhi kahe kal
na jul mein aawe na bhiD ke nikle na pas baiThe 'nazir' ek dam
baDa hi pur-fan baDa hi syana baDa hi shoKH aur baDa hi chanchal
Ghazal
Jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal
Nazeer Akbarabadi