اردو हिंदी
Jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai | Shaahi Shayari
jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

Ghazal

Jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

Jagan Nath Azad

;

jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai
to phir apne qafas ko aashiyan kahna hi paDta hai

tujhe ai tair-e-shaKH-e-nasheman kya KHabar is ki
kabhi sayyaad ko bhi baghban kahna hi paDta hai

ye duniya hai yahan har kaam chalta hai saliqe se
yahan patthar ko bhi lal-e-giran kahna hi paDta hai

ba-faiz-e-maslahat aisa bhi hota hai zamane mein
ki rahzan ko amir-e-karwan kahna hi paDta hai

murawwat ki qasam teri KHushi ke waste akasr
sarab-e-dasht ko aab-e-rawan kahna hi paDta hai

zabanon par dilon ki baat jab hum la nahin sakte
jafa ko phir wafa ki dastan kahna hi paDta hai

na puchho kya guzarti hai dil-e-KHuddar par akasr
kisi be-mehr ko jab mehrban kahna hi paDta hai