jo dil bandhe wo jadu jaanta hai
mera mahbub urdu jaanta hai
baDe zalim hain ishq-o-mushk donon
meri wahshat ko aahu jaanta hai
pata is ka to hum rindon se puchho
KHuda ko kab ye sadhu jaanta hai
amir-e-shahr kya samjhega un ko
mere ashkon ko jugnu jaanta hai
main sau pardon mein tujh ko DhunD lunga
ki bhanwra teri KHushbu jaanta hai
tumhaara KHauf-e-ruswai hai beja
kahan girna hai aansu jaanta hai
tabhi to guftugu miThi hai us ki
'anis' aadab-e-urdu jaanta hai

Ghazal
Jo dil bandhe wo jadu jaanta hai
Anis Dehlavi