jo dekhta hai mujhe aaine ke andar se
wo kaun hai koi puchhe bhi us sitamgar se
sukut TuT gaya KHamushi ke jangal ka
meri sadaen uThin is tarah mere ghar se
main ek tinke ki surat hamesha bahta raha
mujhe mafar na mila waqt ke samundar se
mere dayar mein mazi ki jo thin taswiren
sabhon ko toD diya main ne aaj patthar se
tamam raat koi bhi na tha mere ghar mein
lipaT ke soi thi tanhai mere bistar se
Ghazal
Jo dekhta hai mujhe aaine ke andar se
Shahid Kaleem