اردو हिंदी
Jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin | Shaahi Shayari
jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin

Ghazal

Jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin

Saba Akbarabadi

;

jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin
jo sochiye ki KHafa hain to wo KHafa bhi nahin

wo aur honge jinhen maqdarat hai nalon ki
hamein to hausla-e-ah-e-na-rasa bhi nahin

had-e-talab se hai aage junun ka istighna
labon pe aap se milne ki ab dua bhi nahin

husul ho hamein kya muddaa mohabbat mein
abhi saliqa-e-izhaar-e-muddaa bhi nahin

shaguft-e-gul mein bhi zaKHm-e-jigar ki surat hai
kisi se ek tabassum ka aasra bhi nahin

zahe hayat tabiat hai e'tidal pasand
nahin hain rind agar hum to parsa bhi nahin

suna to karte the lekin 'saba' se mil bhi liye
bhala wo ho ki na ho aadmi bura bhi nahin