jo dasht KHwabon mein aksar dikhai deta hai
wo jagne pe mera ghar dikhai deta hai
hamari KHama-taraazi se bach ke rahiye huzur
ki dast-e-mast mein KHanjar dikhai deta hai
jo dur se use dekho to chand jaisa lage
qarib jao to patthar dikhai deta hai
sanam tarash gursana hai in dinon shayad
ki har mujassama laghar dikhai deta hai
na jis ki shakl hai us ki na jis ki umr us ki
wo mujh ko shishe mein aksar dikhai deta hai
hai us ka maujib-e-tamir koi jurm zarur
jo sab se uncha naya ghar dikhai deta hai
rah-e-farar KHalaon mein bhi nahin milti
bas ek gumbad-e-be-dar dikhai deta hai
hai jis ki Thokaron mein aab-e-zindagi 'wamiq'
wo tishnagi ka samundar dikhai deta hai
Ghazal
Jo dasht KHwabon mein aksar dikhai deta hai
Wamiq Jaunpuri