jo dard-e-jigar mein kami ho to jaanun
qayamat agar multawi ho to jaanun
muqaddar na mera bigaD kar banega
kisi ki bhi bigDi bani ho to jaanun
mujhe teri furqat mein jo be-kali hai
tujhe bhi wahi be-kali ho to jaanun
shab-e-gham mein kal main ne tare gine hain
zara aankh meri lagi ho to jaanun
raqibon ki har baat karte ho puri
mere sath mein munsifi ho to jaanun
pas-e-marg 'nadir' wo aae bhi to kya
inayat agar jite ji ho to jaanun

Ghazal
Jo dard-e-jigar mein kami ho to jaanun
Nadir Shahjahanpuri