jo dar khula hai shikasta makan ka hissa hai
mera yaqin fareb-e-guman ka hissa hai
kahan se aai haram mein ye KHak-e-rah-guzar
wahin pe Dal do us ko jahan ka hissa hai
kisi shikasta jagah Thik baiThta hi nahin
dil-e-hazin ka ye TukDa kahan ka hissa hai
safar nasib hun sahil se kya gharaz mujh ko
mera safina to aab-e-rawan ka hissa hai
ajab usul bane hain yahan tijarat ke
kisi ka sud kisi ke ziyan ka hissa hai
faza-e-alam-e-insaniyat ka afsana
kahin zamin kahin aasman ka hissa hai
use zamane ki gardish miTa nahin sakti
ye zindagi nafas-e-jawedan ka hissa hai
'wali' se le ke jo phaili hai 'mir'-o-'ghaalib' tak
hamara qissa usi dastan ka hissa hai
falak misal hai 'mahir' hamari basti bhi
hamara ghar bhi kisi kahkashan ka hissa hai

Ghazal
Jo dar khula hai shikasta makan ka hissa hai
Mahir Abdul Hayee