jo dam huqqe ka dun bole ki main huqqa nahin pita
bharun jaldi se gar sulfa, kahe sulfa nahin pita
KHuda ke waste kar tu hi saqi us ki dildari
ki mere hath se mai, yar-e-be-parwa nahin pita
agarche mai-kada mamur hai lekin tera kaifi
ba-rang-e-gul ba-juz yak-saghar-e-sahba nahin pita
main aali-himmati ka us ki banda hun ki jo mai-kash
nahin malti jo mai, to bhang aur buza nahin pita
wazir-ul-mulk ka az-bas-ki mai-e-naushan pe qadghan hai
bajae mai, hai wo yan kaun jo kattha nahin pita
lab-e-sofar mein surKHi kahan se us ke aai hai?
jo tera tir piyare KHun-e-dil mera nahin pita
kasi ne ye fusun kuchh paDh ke us kafir pe mara hai
ki in rozon wo pani bhi mere ghar ka nahin pita
piye hai is tarah diwana, mal mal tak ke patte
ki tiryaki bhi yun afyun ka ghola nahin pita
kahe hai mujh se yun hamdam ki rut lahan ki aai hai
wale kya faeda tujh ko, tu Dar Tharra nahin pita
chale hai roz ghairon ke gale par tegh-e-tez us ki
lahu ke ghonT kis din aashiq-e-shaida nahin pita
sharab-e-dostgani ka qadah rakh hath par apne
kaha main ne jo pi us ko, wo yun bola nahin pita
nahin milta wo jo shirin-dahan ai 'mushafi' tujh ko
tu us ke hijr mein kyun zahr ka pyala nahin pita
Ghazal
Jo dam huqqe ka dun bole ki main huqqa nahin pita
Mushafi Ghulam Hamdani

