اردو हिंदी
Jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka | Shaahi Shayari
jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka

Ghazal

Jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka

Qadr Bilgarami

;

jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka
wahi hai tamgha meri jabin ka wahi sulaiman mere nagin ka

gai na mar kar bhi kina-KHwahi mila ke miTTi mein ki tabahi
meri tarah se kahin ilahi falak bhi paiwand ho zamin ka

taDap na puchho dil-e-hazin ki kahun main tum se kahan kahan ki
usi se hai gardish aasman ki usi se hai zalzala zamin ka

jahan sar par uTha raha hun junun mein dhumen macha raha hun
jo dasht mein KHak uDa raha hun dimagh gurdon pe hai zamin ka

karam mein hum ko ghazab mein hum ko kiya jo mumtaz sab mein hum ko
tumhaari dushnam-o-lab mein hum ko maza mila zahr-o-angbin ka

ye laghari ab hai KHar-e-daman ki uTh nahin sakta bar-e-daman
jo panw apna hai tar-e-daman to hath hai tar aastin ka

miyan-e-mahshar malalaton se main shama hun dil ki haalaton se
ki panw tak sau KHijalaton se araq baha hai meri jabin ka

suKHan ko 'qadr' auj de zaban se ki tuKHm-e-afshan ho la-makan se
kiya hai 'nasiKH' ne aasman se buland-tar rutba is zamin ka