اردو हिंदी
Jo chup rahun to bataen wo ghungniyan munh mein | Shaahi Shayari
jo chup rahun to bataen wo ghungniyan munh mein

Ghazal

Jo chup rahun to bataen wo ghungniyan munh mein

Nizam Rampuri

;

jo chup rahun to bataen wo ghungniyan munh mein
jo kuchh kahun to kahen qainchi hai zaban munh mein

ye ek baat hai qasid jo bhejta hun tujhe
wagarna dil mein jo un ke hai wo yahan munh mein

zamin ka kar diya paiwand hum ko ai zalim!
na ab bhi KHak paDe tere aasman munh mein

na kan rakh ke kisi ne suni hazar afsos
tamam umr rahi gham ki dastan munh mein

wo aise bigDe hue hain ki dant piste hain
hum aise chup hain ki goya nahin zaban munh mein

ye baat kya hai jo honTon mein baDbaDate ho
kaho na shauq se jo aae meri jaan munh mein

Daro asar se KHuda jaane kya ho kya kuchh ho
ghuTa hua hai abhi aah ka dhuan munh mein

kabhi girane na do aansu haal par mere
lo aao pani to Tapkao meri jaan munh mein

zaban par hai ye kis kis ki tazkira apna
paDi hai baat na meri kahan kahan munh mein

phir aise wade se taskin ho kis tarah meri
nahin hai dil mein tumhaare agar hai han munh mein

usi ka dhyan hai jab tak ki tan mein jaan hai 'nizam'
usi ka zikr hai jab tak ki hai zaban munh mein