jo chiz thi kamre mein wo be-rabt paDi thi
tanhai-e-shab band-e-qaba khol rahi thi
aawaz ki diwar bhi chup-chap khaDi thi
khiDki se jo dekha to gali ungh rahi thi
baalon ne tera lams to mahsus kiya tha
lekin ye KHabar dil ne baDi der se di thi
hathon mein naya chand paDa hanp raha tha
ranon pe barahna si nami reng rahi thi
yaadon ne use toD diya mar ke patthar
aaine ki KHandaq mein jo parchhain paDi thi
duniya ki guzarte hue paDti thin nigahen
shishe ki jagah khiDki mein ruswai jaDi thi
TuTi hui mehrab se gumbad ke khanDar tak
ek buDhe moazzin ki sada gunj rahi thi
Ghazal
Jo chiz thi kamre mein wo be-rabt paDi thi
Adil Mansuri