jo chehre ki banawaT se yun zulfon ko haTati ho
udhar ka puchho mat hum se idhar bijli giraati ho
hamin ko jaan kahti ho hamin pe aap marti ho
aman chhoDo ye zid apni hamein kitna satati ho
abhi chhoDa kahan tujh ko abhi kya baat bigDi hai
kinare par khaDe hain hum ki tum aansu bahati ho
hamein to naz tha tum par tumhein bhi naz hona tha
jalana tha zamane ko ki tum hum ko jalati ho
ye mausam hai bazaron ka ki raunaq khinch lati hai
hamari jeb KHali kar diwali tum manati ho
to kal kuchh kah rahin thi 'muntazir' tum Thik dikhte ho
main puchhun bhi bhala to kya bahut baaten banati ho
Ghazal
Jo chehre ki banawaT se yun zulfon ko haTati ho
Muntazir Firozabadi