jo chehre ke bahar hai wo andar na milega
chuTki mein samundar ki samundar na milega
dukh hoga siwa dukh ko numaish mein saja ke
har chehre pe hamdardi ka lashkar na milega
sukhe hue talab ki kya jeb-talashi
sadiyon ka wo phenka hua patthar na milega
wo kitni dafa toD ke phir joD gaya hai
angusht-e-nazar se tumhein chhu kar na milega
aankhon ko kahin dur KHala mein na uchhaalo
khoya hua sapnon ka samundar na milega
Ghazal
Jo chehre ke bahar hai wo andar na milega
Shamim Anwar