jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha
ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha
jo dua ko hath uThae bhi to murad yaad na aa saki
kisi karwan ka jo zikr tha wo pas-e-ghubar kahan raha
ye tulu-e-roz-e-malal hai so gila bhi kis se karenge hum
koi dilruba koi dil-shikan koi dil-figar kahan raha
koi baat KHwab-o-KHayal ki jo karo to waqt kaTega ab
hamein mausamon ke mizaj par koi e'tibar kahan raha
hamein ku-ba-ku jo liye phiri kisi naqsh-e-pa ki talash thi
koi aaftab tha zau-fagan sar-e-rahguzar kahan raha
magar ek dhun to lagi rahi na ye dil dukha na gila hua
ki nigah ko rang-e-bahaar par koi iKHtiyar kahan raha
sar-e-dasht hi raha tishna-lab jise zindagi ki talash thi
jise zindagi ki talash thi lab-e-juebar kahan raha
Ghazal
Jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha
Ada Jafri