jo chala aata hai KHwabon ki taraf-dari ko
us ne dekha hi nahin aalam-e-be-zari ko
pairahan chaak na ho jae mere KHwabon ka
koi tabdil kare rasm-e-azadari ko
chaaragar jab tujhe ehsas nahin hai to phir
kaun samjhe bhala bimar ki bimari ko
main ne socha tha jo bikne se bacha lenge mujhe
dauD kar aae wahi meri KHaridari ko
aalam-e-KHwab mein hai jis ki hukumat yaro
wo samajhta hai baghawat meri bedari ko
dil ke sahra ko samundar se bacha le maula
is qadar sahl na kar tu meri dushwari ko
kitne bhole hain teri bazm mein baiThe hue log
sach samajhte hain sabhi teri adakari ko
Ghazal
Jo chala aata hai KHwabon ki taraf-dari ko
inaam azmi