jo chahun bhi to ab KHud ko badal sakta nahin hun
samundar hun kinaron se nikal sakta nahin hun
main yaKH-basta fazaon mein asir-e-zindagi hun
teri sanson ki garmi se pighal sakta nahin hun
mere panw ke niche jo zamin hai ghumti hai
to yun ai aasman main bhi sambhal sakta nahin hun
KHud apne dushmanon ke sath samjhauta hai mumkin
main tere dushmanon ke sath chal sakta nahin hun
wo pauda nafraton ka hai jahan chahe uga lo
mohabbat hun main har miTTi mein phal sakta nahin hun
unhen laDna paDega mujh se jab tak hun main zinda
hisar-e-dushmanan se go nikal sakta nahin hun
khule hain raste kitne mere raste mein 'azmi'
magar main hun ki har sanche mein Dhal sakta nahin hun

Ghazal
Jo chahun bhi to ab KHud ko badal sakta nahin hun
Islam Uzma