jo bu-e-zindagi mujhe kiran kiran se aai hai
haqiqatan wo aap hi ke pairahan se aai hai
hamare jism o ruh ko surur de gai wahi
nasim-e-KHush-gawar jo tere badan se aai hai
ye kaun shaKHs mar gaya ye kis ka hai kafan kaho?
ki zindagi ki bu mujhe isi kafan se aai hai
tariqat-e-nabard mein hamara silsila hai aur!
ye KHud-kushi ki rasm-e-bad to kohkan se aai hai
kali to phir kali hui mahak uThe hain KHar bhi
main jaanta hun ye nasim kis chaman se aai hai
khule rakhe hain main ne sare rang-o-bu ke raste
mere chaman ki ye phaban chaman chaman se aai hai
main 'sabir'-e-suKHan-taraaz kyun kisi ko dosh dun
ki mere sar pe har bala mere suKHan se aai hai
Ghazal
Jo bu-e-zindagi mujhe kiran kiran se aai hai
Sabir Afaqi