jo but hai yahan apni ja ek hi hai
dui chhoD bande KHuda ek hi hai
ye gul khil raha hai wo murjha raha hai
asar do tarah ke hawa ek hi hai
hain apni hi niyyat ke phal talKH-o-shirin
wagarna maza dard ka ek hi hai
bhare rang jitne badalta zamana
magar ishq ka majra ek hi hai
sabhi shikwe miTte hain chashm-e-karam se
maraz hon hazaron dawa ek hi hai
do-rangi-e-duniya se kya kaam hum ko
ki firdaus-e-dil ki faza ek hi hai
banate hain be-KHud sabhi husn wale
Thikane alag rasta ek hi hai
koi samjhe naghma koi samjhe nala
mere saz-e-dil ki sada ek hi hai
wo dar-o-rasan hon ki hon zahr-o-KHanjar
bahane hazaron qaza ek hi hai
mohabbat kare aur ho be-gharaz bhi
lo phir 'arzu' aap ka ek hi hai
Ghazal
Jo but hai yahan apni ja ek hi hai
Arzoo Lakhnavi