اردو हिंदी
Jo bit gai uski KHabar hai ki nahin hai | Shaahi Shayari
jo bit gai uski KHabar hai ki nahin hai

Ghazal

Jo bit gai uski KHabar hai ki nahin hai

Qateel Shifai

;

jo bit gai us ki KHabar hai ki nahin hai
dekho mere tan par mera sar hai ki nahin hai

is shahr-e-nadamat se jo aae hain palaT kar
dar-pesh naya un ko safar hai ki nahin hai

yaron ko bahut pyar hai zindan-e-wafa se
lekin kisi diwar mein dar hai ki nahin hai

milti ho ziya jis ko charaghon ki lawon se
us shahr mein aisa koi ghar hai ki nahin hai

chehre pe saja laya hun main dil ki sadaen
duniya mein koi ahl-e-nazar hai ki nahin hai

suraj ki guzargah bane shaKH na jis ki
aisa koi raste mein shajar hai ki nahin hai

barsat mein koyal si jahan kuk rahi thi
aabaad wo KHwabon ka nagar hai ki nahin hai

TuTi hui masjid main khaDa dekh raha hun
mahfuz shiwale ka gajar hai ki nahin hai

kyun tera gareban hai 'qatil' ab bhi salamat
kuchh tujh pe nai rut ka asar hai ki nahin hai