jo bhi yahan hua wo bahut hi bura hua
har aadmi ka zehn hai ab tak jala hua
miTTi ko sunghne se koi faeda nahin
main ja raha hun naqsh-e-wafa chhoDta hua
rauzan bana rahe hain KHala mein kiran ke tir
suraj isi liye hai zamin par jhuka hua
hum sah rahe hain apne azizon ke dard-o-gham
aaya jo dast-o-pa liye be-dast-o-pa hua
ek shaKHs mere sath safar mein raha magar
manzil qarib aai to mujh se juda hua
mujh ko kisi ki baat ki parwa nahin abhi
main ji raha hun shahr mein tanha to kya hua
afsos ki nahin ye tajjub ki baat hai
kaise guzar gaya wo mujhe dekhta hua
tum ne mere liye to bahut kuchh kiya magar
kya tum ko ai 'hasir' koi faeda hua

Ghazal
Jo bhi yahan hua wo bahut hi bura hua
Haseer Noori