jo bhi taKHt pe aa kar baiTha us ko yazdan man liya
aap bahut hi dida-war the mausam ko pahchan liya
jab bhi thakan ne kaT ke phenka dasht-gazida qadmon ko
jalti ret pe khaal bichai dhup ka KHema tan liya
apni ana ka baghi dariya wasl se kya sarshaar hua
us ka nishan bhi hath na aaya sara samundar chhan liya
qismat ke bazar se bas ek chiz hi to le sakte the
tum ne taj uThaya main ne 'ghaalib' ka diwan liya
zat sifat se aari ho to kaisa taawun KHarij ka
aankh to thi na-bina nahaq suraj ka ehsan liya
Ghazal
Jo bhi taKHt pe aa kar baiTha usko yazdan man liya
Sayed Naseer Shah