اردو हिंदी
Jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle | Shaahi Shayari
jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle

Ghazal

Jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle

Dinesh naaidu

;

jo bhi nikle teri aawaz lagata nikle
aise haalat mein ab ghar se koi kya nikle

us ke lahje mein sarabon ki ajab raunaq hai
ain mumkin hai wo tapta hua sahra nikle

har taraf KHwab wahi KHwab wahi ek chehra
ab kisi taur mere ghar se ye malba nikle

dasht walon ko batao ki yahan main bhi hun
kya pata mujh se hi un ka koi rasta nikle

bas isi aas mein baiTha hun sar-e-sahra main
koi baadal mujhe aawaz lagata nikle

kash aisa ho tere shahr mein pyasa aaun
aur tere qadmon se ho kar koi dariya nikle

raqs karte the tere hathon pe kitne aalam
ab to aankhon se meri rang hina ka nikle

tere hone pe bhi ek Dar sa laga rahta hai
kaise is ji se tere hijr ka dhaDka nikle