jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai
zinat-e-mahfil-e-sahab-nazran hota hai
yahi dil jis ko shikayat hai giran-jaani ki
yahi dil kar-gah-e-shisha-giran hota hai
shaKH-e-gulzar ke sae mein kahan dam lije
ki yahan KHun ka sail-e-guzaran hota hai
kis ko dikhlaiye apnon ki malamat ka saman
ki ye uslub hadis-e-digran hota hai
kis ko batlaiye wo rabta-e-naz-o-niyaz
un ki mahfil mein jo ai dida-waran hota hai
kabhi karti hai tajalli nigarani dil ki
kabhi dil su-e-tajalli-nigaran hota hai
mujh pe hote hain gham-e-dil ke sahife nazil
jin mein afsana-e-ali-guharan hota hai
dil bhi deta hai mujhe mashwara-e-tark-e-wafa
kuchh taqaza-e-jahan-e-guzaran hota hai
main to hun shefta-e-rang-e-taghazzul 'abid'
ki yahi shahid-e-KHunin-jigraan hota hai
Ghazal
Jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai
Syed Aabid Ali Aabid