اردو हिंदी
Jo bhi kuchh achchha bura hona hai jaldi ho jae | Shaahi Shayari
jo bhi kuchh achchha bura hona hai jaldi ho jae

Ghazal

Jo bhi kuchh achchha bura hona hai jaldi ho jae

Rauf Raza

;

jo bhi kuchh achchha bura hona hai jaldi ho jae
shahr jage ya meri nind hi gahri ho jae

yar uktae hue rahte hain aisa kar lun
aaj ki sham koi jhuTi kahani ho jae

yun bhi ho jae ki barta hua rasta na mile
koi shab lauT ke ghar jaana zaruri ho jae

yaad aae to badalne lage ghar ki surat
taq mein jalti hui raat purani ho jae

hum se kya puchhte ho shahr ke bare mein 'raza'
bas koi bhiD jo gungi kabhi bahri ho jae