jo bhi kahna ho wahan meri zabani kahna
log kuchh bhi kahen tum aag ko pani kahna
aaj wo shaKHs zamane mein hai yakta kah do
jab koi dusra mil jae to sani kahna
gham agar palkon pe tham jae to aansu kahiyo
aur bah jae to maujon ki rawani kahna
jitna ji chahe use aaj haqiqat kah lo
kal use meri tarah tum bhi kahani kahna
ab to dhundla gaya yaadon ka har ek naqsh 'shamim'
phir wo de jae koi apni nishani kahna
Ghazal
Jo bhi kahna ho wahan meri zabani kahna
Shamim Farooqui