اردو हिंदी
Jo bhi ghuncha tere honTon pe khila karta hai | Shaahi Shayari
jo bhi ghuncha tere honTon pe khila karta hai

Ghazal

Jo bhi ghuncha tere honTon pe khila karta hai

Qateel Shifai

;

jo bhi ghuncha tere honTon pe khila karta hai
wo teri tangi-e-daman ka gila karta hai

der se aaj mera sar hai tere zanu par
ye wo rutba hai jo shahon ko mila karta hai

main to baiTha hun dabae hue tufanon ko
tu mere dil ke dhaDakne ka gila karta hai

raat yun chand ko dekha hai nadi mein raqsan
jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai

jab meri sej pe hota hai bahaaron ka nuzul
sirf ek phul kiwaDon mein khula karta hai

kaun kafir tujhe ilzam-e-taghaful dega
jo bhi karta hai mohabbat se gila karta hai

log kahte hain jise nil kanwal wo to 'qatil'
shab ko in jhil si aankhon mein khula karta hai