jo bhi anjam ho aaghaz kiye dete hain
mausamon ko nazar-andaz kiye dete hain
kuchh to pahle se tha rag rag mein shujaat ka surur
kuchh hamein aap bhi jaan-baz kiye dete hain
had se aage jo parinde nahin uDne wale
hadse un ko bhi shahbaz kiye dete hain
dasht o sahra ye samundar ye jazire ye pahaD
munkashif hum pe kai raaz kiye dete hain
shab-e-zulmat na ho ghamgin ki jala kar KHud ko
nur se tujh ko sar-afraaz kiye dete hain
shahr-e-jaan par kai barson se musallat hai jumud
chheD kar dil ko chalo saz kiye dete hain
hum ki zinda hain abhi zulf-e-ghazal aa tujh ko
phir ata nikhat-e-shiraaz kiye dete hain
kaun aata hai ayaadat ke liye dekhen 'faragh'
apne ji ko zara na-saz kiye dete hain
Ghazal
Jo bhi anjam ho aaghaz kiye dete hain
Faragh Rohvi