jo bhale bure ki aTkal na mera shiar hota
na jaza-e-KHair pata na gunahgar hota
mai-e-be-KHudi ka saqi mujhe ek jura bas tha
na kabhi nasha utarta na kabhi KHumar hota
main kabhi ka mar bhi rahta na gham-e-firaq sahta
agar apni zindagi par mujhe iKHtiyar hota
ye jo ishq-e-jaan-sitan hai ye jo bahr-e-be-karan hai
na suna koi safina kabhi is se par hota
kabhi bhul kar kisi se na karo suluk aisa
ki jo koi tum se karta tumhein nagawar hota
hai is anjuman mein yaksan adam-o-wajud mera
ki jo main yahan na hota yahi karobar hota
Ghazal
Jo bhale bure ki aTkal na mera shiar hota
Ismail Merathi