jo bazm-e-dahr mein kal tak the KHud-suron ki tarah
bikhar gae hain wo TuTe hue paron ki tarah
shikasta ruh hai jismon ke gumbadon mein asir
hain mere daur ke insan maqbaron ki tarah
Daro tum un se ki wo raaz-dar-e-tufan hain
jo ek umr se chup hain samundaron ki tarah
paDa jo waqt to wo phir nazar nahin aae
yaqin karen ki jo milte the dilbaron ki tarah
haqiqaton ka karen samna dileri se
na ye ki mund len aankhen kabutaron ki tarah
Ghazal
Jo bazm-e-dahr mein kal tak the KHud-suron ki tarah
Asad Jafri