jo bas mein hai wo kar jaana zaruri ho gaya hai
teri chahat mein mar jaana zaruri ho gaya hai
hamein to ab kisi agli mohabbat ke safar par
nahin jaana tha par jaana zaruri ho gaya hai
sitara jab mera gardish se bahar aa raha hai
to phir dil ka Thahar jaana zaruri ho gaya hai
daraKHton par parinde lauT aana chahte hain
KHizan-rut ka guzar jaana zaruri ho gaya hai
andhera is qadar gahra gaya hai dil ke andar
koi suraj ubhar jaana zaruri ho gaya hai
bahut mushkil hua andar ke rezon ko chhupana
so ab apna bikhar jaana zaruri ho gaya hai
tujhe main apne har dukh se bachana chahta hun
tere dil se utar jaana zaruri ho gaya hai
nae zaKHmon ka haq banta hai ab is dil pe 'haidar'
purane zaKHm bhar jaana zaruri ho gaya hai
Ghazal
Jo bas mein hai wo kar jaana zaruri ho gaya hai
Haidar Qureshi