اردو हिंदी
Jo barf-zar chir de aisi kiran bhi la | Shaahi Shayari
jo barf-zar chir de aisi kiran bhi la

Ghazal

Jo barf-zar chir de aisi kiran bhi la

Javed Shaheen

;

jo barf-zar chir de aisi kiran bhi la
patthar dilon mein aaj koi kohkan bhi la

is tarah sarsari mera bab-e-wafa na likh
waqt-e-shumar zaKHm mera KHasta-tan bhi la

munsif agar bana hai to sab ko gawara rakh
insaf hai to mera phaTa pairahan bhi la

jalne lage hain pyas se phulon ke KHushk honT
abr-e-bahaar ko zara su-e-chaman bhi la

chup-chap KHalwaton mein pighalne se faeda
koi charagh hai to sar-e-anjuman bhi la

itna wo shadman mujhe achchha nahin laga
is gul ke dil mein dagh ki thoDi jalan bhi la

zaKHm-e-safar ke dard-e-musalsal ka sehr toD
nikla hua watan se gharib-ul-watan bhi la

ye chashm-e-iltifat hi kafi nahin mujhe
mere liye to narmi-e-kaam-o-dahan bhi la

'shahin' se aziz hai apna lahu to kya
nash-e-shahid ke liye KHunin kafan bhi la