jo ban-sanwar ke wo ek mah-ru nikalta hai
to har zaban se bas allah-hu nikalta hai
halal rizq ka matlab kisan se puchho
pasina ban ke badan se lahu nikalta hai
zamin aur muqaddar ki ek hai fitrat
ki jo bhi boya wahi hu-ba-hu nikalta hai
ye chand raat hi didar ka wasila hai
ba-roz-e-id hi wo KHub-ru nikalta hai
tere baghair gulistan ko kya hua 'adil'
jo gul nikalta hai be-rang-o-bu nikalta hai
Ghazal
Jo ban-sanwar ke wo ek mah-ru nikalta hai
Adil Rasheed