jo baat shart-e-visal Thahri wahi hai ab wajh-e-bad-gumani
idhar hai is baat par KHamoshi udhar hai pahli se be-zabani
kisi sitare se kya shikayat ki raat sab kuchh bujha hua tha
fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki nai kahani
ajib aashob-e-waza-dari hamare aasab par hai tari
labon pe tartib-e-KHush-kalami dilon mein tanzim-e-nauha-KHwani
hamare lahje mein ye tawazun baDi saubat ke baad aaya
kai mizajon ke dasht dekhe kai rawayyon ki KHak chhani
Ghazal
Jo baat shart-e-visal Thahri wahi hai ab wajh-e-bad-gumani
Azm Bahzad