jo baat mana ki hai use kahiye kyun
jo shai ki haram haigi use khaiye kyun
khoTa ho agar dam hi apna yaro
sarraf ko phir aib abas laiye kyun
KHatra hai sarih ji ka samajh dekh to ji mein
jo rah ki marte hon udhar jaiye kyun
jis basti mein insaf ka kahin nam na howe
us basti mein phir fel-e-abas rahiye kyun
baat apni pesh na jati howe
be-faida phir bolna wahan chahiye kyun
Ghazal
Jo baat mana ki hai use kahiye kyun
nayan sukh