jo baat haqiqat ho be-KHauf-o-KHatar kahiye
main is ka nahin qail shabnam ko guhar kahiye
lafzon ki hararat se ajsam pighal jaen
sanjida zara ho kar ashaar agar kahiye
apnon ne pilae hain zahrab ke ghunT akasr
honTon pe jo KHushki hai talKHi ka asar kahiye
bazar-e-tasannoa ke jalwon ki numaish ko
TuTe hue shishon ka adna sa khanDar kahiye
jazbaat ka KHun kar dun ehsas kuchal Dalun
zaKHmon se lahu Tapke sau bar agar kahiye
taKHliq-e-ajussa ya 'hafiz' ki ghazal 'rahbar'
jis se ho baqa fan ki mearaj-e-hunar kahiye
Ghazal
Jo baat haqiqat ho be-KHauf-o-KHatar kahiye
Haseeb Rehbar