jo baat hai teri so nirali
ushshaq-kushi nai nikali
tir-e-mizhgan bhi hai us par
abru ki tegh bhi sambhaali
samjhe hai zahiran wo dil ki
deta hai jo dar-jawab gali
naKHun-zan hain badal ye angusht
ye sirf nahin hina ki lali
hain roz-e-azal se hum giraftar
dekhi na kabhu faragh-baali
tu to hai hi pa main bhi pyare
hun be-parwai la-ubaali
kis tarah dikhaun aah tujh ko
main apni ye KHarab-haali
hum hain bande dani o asfal
aur aap ka hai mizaj aali
aaina-e-dil mein mahw ho kar
surat hi kuchh aur ab nikali
hai tujh se hi aashiqon ki KHubi
ya hazrat-e-'dard' mere wali
diwan-e-'asar' tamam dekha
hai us mein har ek sher aali
Ghazal
Jo baat hai teri so nirali
Meer Asar