jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain
wo bhi andar se shab-e-tar nazar aate hain
kijiye kis se yahan qadr-e-hunar ki ummid
ab wo darbar na dur-bar nazar aate hain
kam se kam apne gareban hi ke purze karte
hath par hath dhare yar nazar aate hain
shahr-dar-shahr makanon mein andhera hai magar
jagmagate hue bazar nazar aate hain
kaun aawaz uThaega hamare haq mein
sab tere hashiya-bardar nazar aate hain
ye bhi mumkin hai ki uD jaen to lauTen na kabhi
jitne bachche hain wo par-dar nazar aate hain
kitni dilkash hai ye ummid ki rang-amezi
sang-dil log bhi dildar nazar aate hain
wo rahe honge nazakat mein kabhi shaKH-e-gulab
ab to jab dekhiye talwar nazar aate hain
kis ki aamad hai gharibon ke gali-kuche mein
ujle ujle dar-o-diwar nazar aate hain
jin ke didar ko firdaus-e-tamasha kahiye
zindagi mein kahin ek bar nazar aate hain
shoKHi-e-naqsh-e-qadam hai ki gulabon ki qatar
raste sab gul-o-gulzar nazar aate hain
jo har ek band se aazad hain wo bhi 'mahir'
apni KHaslat ke giraftar nazar aate hain

Ghazal
Jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain
Mahir Abdul Hayee