اردو हिंदी
Jo apni hai wo KHak-e-dil-nashin hi kaam aaegi | Shaahi Shayari
jo apni hai wo KHak-e-dil-nashin hi kaam aaegi

Ghazal

Jo apni hai wo KHak-e-dil-nashin hi kaam aaegi

Zafar Gorakhpuri

;

jo apni hai wo KHak-e-dil-nashin hi kaam aaegi
giroge aasman se jab zamin hi kaam aaegi

yahan se mat uTha bistar ki is saffak aandhi mein
ye TuTi phuTi diwar-e-yaqin hi kaam aaegi

uTha rakkha tha sahra sar pe tum ne kaun manega
jhaTakna mat ki ye gard-e-jabin hi kaam aaegi

wo din aaega jab sare samundar sukh jaenge
miyan andar ki ju-e-atashin hi kaam aaegi

koi aankhon ke shole ponchhne wala nahin hoga
'zafar' sahab ye gili aastin hi kaam aaegi